patharo-n ki zameen pathraoo kay shajar, patharo kay makaan pathroo-n kay bashar
kub sawaera huwa hum kidhar ko chalay kis gali main sham aye kaha khogaye
kya huwa aj kyu khema-e-zakham say kuj kulbalatay gham phir nikalnay lagy
hum to samjhay thay ab shehr-e-dil mit chuka thak gaye dard kay karwa-n sogaye
is ki umed pay dil ki taman’aoo-n nay roshni kay gharonday banaye bohat
ek woh kya gya sub diye bujh gaye arzoo-n kay saray makaa’n sogaye
aql ki lashkari ahni ajnabi ahtai’n jasay patharagaye khushboo-n ki dukaa’n
dil kay bazaar main khak urnay lagi dar kay yadoo-n kay sodagra’n sogaye
aj ki raat itni andheeri hai kyu, aj itni akeli hai kyu
jo sar-e-sham hum ko jaga aye thay ek awaz day kar kaha khogaye