Pathar ko khuda kehta hoon

bewafaai ko bhi main un ki wafa ketha hoon
kesa paagal hoon jo pathar ko khuda kehta hoon

meri ghazaloon ki to tareef sabhi kartey hain
koun samjha hai haqeeqat ke main kia kehta hoon

dil ki is shama mai jalti hai tamanna koi
apni hasrat ko umeedon ka diya kehta hoon

sochta hoon ke main jab khud he hoon katib apna
kiyoun main halaat ko hain mujhse khafa kehta hoon

meri hasrat ka safar mar ke bhi na khatam hua
kabar ko apni thikana main kahan kehta hoon

Re: Pathar ko khuda kehta hoon

Achi ghazal hey DADDU sahab, sheir number 4 ki elaawa sab kuch hi theek thaak hey…thanx for sharing :slight_smile:

Re: Pathar ko khuda kehta hoon

waqee

Re: Pathar ko khuda kehta hoon

Very Nice DADDU…
This1 is the BEST.:slight_smile:

Re: Pathar ko khuda kehta hoon

Wah… Wonderful as usual :slight_smile:

Tnx Daddu for The Beauty :k:

Re: Pathar ko khuda kehta hoon

nice 1 yo