By
Abdaal baila..
Neher kay kinaray... Shehar se bahir
Halki halki rooshni main...
Aik baray say lambay park ki char khobsorat kursiyon pay..
Cement ki kursiyon pay...
Hum ikhattay mil kay baithay rahay..
Aik... Do...Kae ghantay
Do kursiyan khali theen
Aur do kursiyan khali nahi theen
Laikin un main say bhi phir aik khali hogae
Halan-kay... hum main say koi bhi uth kay nahi gaya..
Raat ka pehla peher tha
Sar pay chaandni ko... Aik gool chandni nay apnay pathar kay khulay hathon say hum say chupaya hua tha...
Jaise yeh hath..
Hamaray dair tak bethnay ki dua maang rahay thay...
Buhat achee manzar nigaree hai. Dil mein dua maangte haath, wah :k:
silabi raylay main behti howi nazm hay
bkhoob :k: baqi ki kursiyan bhi bhar jain gi … aisi jaldi bhi kia hay ![]()
pharmoo
![]()
Masha Allah.... thanks for sharing
Aur kiya yaad deladiya.... ha haaa.....
Thanks for liking dear..
Thanks all of you :~)
Re: ~* Pathar kay hath *~
wah wah…![]()
Khoob :k:
WaH:flower1:…
boht khob:)
bohat khooooooooob :k:
:k: