Pather bana diya mujhey rooney nahin diya
Daman bhi terey gham ne bhigoney nahin diya
Tenhaiyaan tumharra pata pouchti rahin
Shab bhar tumharri yaad ne soney nahin diya
Ankhoon mein aa k beyth gayi ashkoon ki laher
Palkoon pe koyi khuwab paroney nahin diya
Dil ko tumharrey ansoo aziz they
Duniya ka koyi dard samoney nahin diya
Na sirf us ki yaad chali haath thaam k
Mailey mein iss jahaan k khoney nahin diya