Tum meray pass raho
Meray qatil, meray dildar, meray pass raho
Jiss gharhi raat chalay
Asmanon ka lahoo pee kay siyah raat chalay
Maham-e-mushk liye nashtar-e-almas liye
Bain kerti hooi hansti hooi, gati niklay
Dard kay kasni pazaib bajati niklay
Jiss gharhi seenon main doobay hooay dill
Asteenon main nihan hathon ki rah taknay lgain
ass liye
aour bachon kay blaknay ki tarah qulqul-e-may
Behr-e-nasoodgi machlay to manaye na manay
Jabb koi bat banaye na banay
Jabb na koi baat chalay
Jiss gharhi raat chalay
Jiss gharhi matami, sunsan, siyah raat chalay
Pass raho
Meray qatil, meray dildar meray pass raho
:k:
:k: :k: :k:
Beautiful...
Very Nice :)
:k:
Good1 :k:
PS
yaad rakho to dil kay pass… ![]()
buhat khoob:k::k::k::k::k: