pashaymani

main yeh souch kar ous kay dar say utha tha
keh woh rouk lay gee, mana lay gee mujh ko
hawaoon main lehrata aata tha daman
keh daman pakar kay bitha lay gee mujh ko
qadam aysay andaaz main uth rahay thay
keh awaz day kay bula lay gee mujh ko
magar ous nay rooka na mujh ko manaya
na daman hi pakra na mujh ko boulaya
main aahista aahista barhta hi aaya

yahaan tak kay ous say juda ho gaya


So Deep and Touchy... Lovely Choice!

us say ik baar to ruthun main usse ki mannind
aur mere tarah say woh mujh ko ma'nanay ayae

very nice.

sighz
nice:k:

niceeee:k::k:

Re: pashaymani

[QUOTE]
*Originally posted by Man de Mouj: *
main yeh souch kar ous kay dar say utha tha
keh woh rouk lay gee, mana lay gee mujh ko
hawaoon main lehrata aata tha daman
keh daman pakar kay bitha lay gee mujh ko
qadam aysay andaaz main uth rahay thay
keh awaz day kay bula lay gee mujh ko
magar ous nay rooka na mujh ko manaya
na daman hi pakra na mujh ko boulaya
main aahista aahista barhta hi aaya

yahaan tak kay ous say juda ho gaya


[/QUOTE]

Wah bohat khoob :)
Thanks for sharing.
Jenab aap tu man moji hain choti choti baat ki perwa na kia karoo ;)

yahaan tak kay ous say juda ho gaya

Very nice:)

zabardast :k:

Re: pashaymani

Thanks all of you