Pas-e-Gubaar

Pas-e-Gubaar
Tum jo chaaho to kisi roz yuNhi chaltey chaltey
phir usi raah pe do chaar qadam waapis aana
wo raah jo ley ke tumheiN door chali aai hey
usi raah pe zaraa deikhna ke ab bhi shaaed
kaheiN door muntazir ho pas-e-gubaar koi
tumharey paas na agarcha ho shumaar koi
hawaa ka qaafla aawaara koi bataaey tumheiN
kisi ki sulagti hui aas ka dia dikhaey tumhey
guzrey lamhaat ki guzargaah sey guzartey huwey
kitaab-e-yaad ke aaoraaq ko ulat’tey huwey
jaaney kya socho tum jaaney kya guzrey tum par
uljah ke reh jao kisi pal sey ya wapis chal do
gira do aaNkhoN sey aaNsu ya shaed haNs do
phir bhi mumkin ho to kisi roz yuNhi chaltey chaltey
usi raah pe do chaar qadam waapis aana…!
By: Amal

Re: Pas-e-Gubaar

Simply beautiful Amal... Kaafi din baad nazar aaye haiN... Thank you for sharing :-)

Re: Pas-e-Gubaar

luv it.. bohut khoob as usual =) thanx for sharing :flower1:

Ps: yes kafe dino baad ayay hain ap.. khariat?!

Re: Pas-e-Gubaar

bhut hi achay:k: zabardust:k:

Re: Pas-e-Gubaar

JaanaY waalaY ko kabhi aana tau naheeN hai laikin
Sar-e-Raah palkoN ko, hur dumm bichaateY rehnaa

AQ

beautiful poem Amal bhai :slight_smile:

Re: Pas-e-Gubaar

WAH… Very Nice AMAL… Tnx for Sharing the Beauty :flower1:

Re: Pas-e-Gubaar

Boht khoob, Amal :flower1:

Re: Pas-e-Gubaar

Aur bhi dukh heiN zamaaney meiN shaeri ke siwa :slight_smile:

Jaan Lewaa, Anwar, GS and HeArT HaCKeR, nazm pasand karne ke leeye shukriya :slight_smile:

Re: Pas-e-Gubaar

Very nice....

"Kaise kisi ki baat ka kare aetbaar koi"
Paas naa rahney se hua hay beykaar koi?

Aik baar jo hunsey, to woh chal diey
Aansoo bahaney se hoga beyrra paar koi?

Chulne ka hausla hay naa waapsi ki umeed
Mere Khuda itna bhi na ho laachaar koi

Muskarahat bikhar jaaey aap ke labon pey
Dil mein nahiN hay merey aur wichaar koi

wichaar-->khayalaat

Re: Pas-e-Gubaar

wah buhat zabardast

Re: Pas-e-Gubaar

Wow Amazing stuff, by the way humaari ghair majoodgii mein hi kyon achi cheezain post hoti hain :slight_smile:

Re: Pas-e-Gubaar

umer.ashraf, Jhuki Nigahein, thanx for liking the poem :)
Gul, ghair majood na huwa kareiN na aap :~) Thanx for liking it by the way :)

Re: Pas-e-Gubaar

bohat khoob :k:

Re: Pas-e-Gubaar

Tum jo chaaho to kisi roz yuNhi chaltey chaltey
phir usi raah pe do chaar qadam waapis aana
wo raah jo ley ke tumheiN door chali aai hey
usi raah pe zaraa deikhna ke ab bhi shaaed
kaheiN door muntazir ho pas-e-gubaar koi
tumharey paas na agarcha ho shumaar koi

kia aisa mumkin hia ;)

Re: Pas-e-Gubaar

KiuN nahi? This is a world of possibilities :~)

Re: Pas-e-Gubaar

:k:buhat achay