Parindon ko Dekha to Khayal Aaya

Mohabat ka Bharam Hota, to Phir kuch Soch kar Jaty,
Wagarna Zindagi Ban k Mery Hamdam Guzar Jaty,

Thaky Hary Prindon Ko Jo Dekha to Khayal Aaya,
Koi Jo muntazir hota tu hum bhi apny ghar jaty,

Main kha kar dard ki thokar abhi tak hosla mand hon,
ye thokar jo tumhain lagti,tu tum khud bhi bikhar jaty,

Is TANHAi ka hum pe bara Ahsan hai “ROGI”
Na daiti sath ye apna tu jany hum kidhar jaty.

Re: Parindon ko Dekha to Khayal Aaya

:lajawab: mujhay ek sher yaad aa gia …

Yeh sard raat yeh awargi yeh neend ka bojh
hum apney shehar main hotay to ghar gae hotay

Re: Parindon ko Dekha to Khayal Aaya

Awesome

Re: Parindon ko Dekha to Khayal Aaya

Nice choice :k:

Re: Parindon ko Dekha to Khayal Aaya

I Am Touched :hug: Thank You All :smiley:

Re: Parindon ko Dekha to Khayal Aaya

Mujhe bhi ek shair yaad aya

Murghi to dekha to ye khayal aya
Boht din se hum ne tikka nahin khaya

:yummy:

Re: Parindon ko Dekha to Khayal Aaya

Murgi Chor Tera Moo Kala !!