Pareshan

Ajeeb si uljhan mein phansa hai,
Aaj phir dil mera pareshan sa hai..

Aasmaan ko choona chahta hai,
khul kar saans lene ka armaan sa hai..

Apno mein hai,phir bhi kitna akela hai,
Apne hi ghar mein jaise mehmaan sa hai..

jaan ne toh chala hai har kisi ko par,
Khud hi se dekho, anjaan sa hai..

Jaane kaunsi shikayat hai isko,
dharhak kar, kar raha jaise ehsaan sa hai..

Is khamoshi se darr lagne laga hai,
aane wala koi toofan sa hai..

Ho gaya hai tanhaaiyon meim gum,
Aaj phir dil ka jahaan veeran sa hai..

Ajeeb si uljhan mein phansa hai,
Aaj fir dil mera pareshan sa hai..

Re: Pareshan

nice Pareshano

Re: Pareshan

achee hai :)

Re: Pareshan

:k:

Re: Pareshan

nice sharing :)

Re: Pareshan

**yaar paraishaan kar kay rakh dia hay .......

anyway nice post :)**

Re: Pareshan

thank you people

:(

Re: Pareshan

Nice.........
bt y r u blue?????????

Re: Pareshan

kyun ke im very pareshan :teary3:

Re: Pareshan

hmm…Ronay say kya parayshani kum ho jaiy ge:konfused:

Re: Pareshan

nahi lekin dil ko tassali ho jaye gi :teary2:

Re: Pareshan

Hmm…Parayshani hai kya…if u dntmind tou batain …sab mil kar hul talash kartay hain

Re: Pareshan

ek ho to kahoon bhi na, life is full of pareshaanis :(

Re: Pareshan

Its never too latee............Aik aik kar k hul karain...everything will be ok

Re: Pareshan

bas aap dua karna :(

2 Likes

Re: Pareshan

Inshallah............i will

Re: Pareshan

Shukran :(

Re: Pareshan

:@:
it ok
:)
keep smiling!!!

Re: Pareshan

thanx :(

Re: Pareshan

Wah!:k: Kia bat hai waisy Shair kon hy is pryshan ghazal ka:D