Parakhna mat !

Parakhna mat parakhnay mai koi apna nahi rehta
Kisi bhi aainay mai dair tak chehra nahi rehta

Badey logon say milnay mai hamesha faasla rakhna
Jahan dariya samunder say mila–darya nahi rehta

Tumhaarey sheher ka mausam nayee andaaz waala hai
Humaarey sheher mai bhi ab koi hum sa nahi rehta

Mohabbat ek khushboo hai–hamesha saath chalti hai
Koi insaan tanhaai mai bhi tanha nahi rehta

Re: Parakhna mat !

V nice sher kinzz :k:

Re: Parakhna mat !

Bohat Khoob.......

Mohabbat ek khushboo hai--hamesha saath chalti hai
Koi insaan tanhaai mai bhi tanha nahi rehta

Re: Parakhna mat !

Basheer badr ka khoobsurat kalam... Jagjeet Singh sung it beautifully

Re: Parakhna mat !

wo kia sher tha:

Agar paR jae aadat aap apne sath rehne ki
ye wo sath hai jo insaan ko tanha nahin karta

Re: Parakhna mat !

^nice