Ay Gham e zindage kuch to day mashwarah
Eik taraf uss ka ghar eik taraf may kadah
Mean kahan jaon hotaa nahi faisla
eik taraf usska ghar eik taraf maykadah
eik taraf baam per koi gulfaam hay
eik taraf mehfil e badah o jaam hay
mera dono say hay kuch na kuch wasta
eik taraf usska ghar eik taraf maykadah
Zindage eik hay urr talabgar doo
jaan akeele mager jaan kay haqdaar doo
dil bataa pehlay kiss kaa karoon haqq adaaa
eik taraf usska ghar eik taraf maykadah
iss taluq ko mean kesay toroon zafar
kiss ko apnaon mean kiss ko choron zafar
mera dono say rishta hay nazdeek kaa
eik taraf usska ghar eik taraf may kadah