pall bhar ka "qissa" hai yeh, is dil ko khawab na samajh lena!

pall bhar ka “qissa” hai yeh, is dil ko khawab na samajh lena!
benaam sa ek jawab hoon main mujhe tum lajawab na samajh lena

mera khayal “waham”, mera “dhayan”, gumaan-o-yaqeen kay dermiyan
main ik daastan hoon bhooli hoi, mujhe tum saraab na samajh lena

tumhara “aihsaas” jo ghira hoa hai,meri mahak kay “aitaraaf” main
ye to pall bhar ki khushboo hai, isay “kali”,"gulaab"na samajh lena

yeh doori teri “majboori”, yeh “muhabbat” teri, zindagi meri!
dil main chupi be-naam khalish ko, meri jaan, hijaab na samajh lena

aik “barsaat” baahir hai, aik “saawan ki jhaRi” under lagay hai!
is dariya main jo main beh jaaon, isay tum sailaab na samajh lena

mera afsaana “be-maaya”, mera yaqeen hai “gumaan ki hadd”
meray piyar ki sachaai ko apni zindagi ki kitab na samajh lena

meray dard ko gar tum samjho to yeh teray piyar ka ghayal hai
laikin kabhi meri khoee baaton ko kabhi payaab na samajh lena

tu “saaz” hai, tu “aawaz” hai, main teri aik anjaan ghazal hoon
meray andar chan, chan “shor-e-dil” ko tooti rubaab na samajh lena

main bhi ik seep hoon tum kaho to dharraktay dil ki dharrkan
is moti ko kahin apnay dil main “nayaab” na samajh lena

tum bahaar ki ik haseen ghaRi ho main khizan ka thaka hoa shajar
main sawaal hi sawaal hoon, mujhay apna jawab na samajh lena

yeh jo kahaani hai tumhaari, hamaari, ye ~saira aik pal ka kissa hai
yeh to khatam ho jaaye gi, isay be-maaya khawab na samajh lena

:k:

nice :k:

Boht khoob..:k:

thanks for sharin :flower1:

thnx cuteepie

thnx HeArT HaCKeR and Vivacious

very nice :k:

Hello :wave: and thnx Chand_Chehra