palkon ki chilman girne do phir beshak raah badal laina

*kuch door to maire sath chaloo phir beshak raah badal laina
kuch pal tum maire sath raho phir beshak raah badal laina

kuch dair to thamo maira hath,kuch dair raho tum maire pass
yeh yadein mujh ko tum dey do phir beshaq rah badal laina

auron k sath to rehtey ho auron ki suntey,kehtey ho
do batein mujh se bhe kar lo phir beshak raah badal laina

kaandhey pe tairey sir rakh lon aankhon ko apni band kar lon
palkon ki chilman girne do phir beshak raah badal laina

q mujh se chup k rehtey ho? q dil ki baat na kehtey ho
jo dil mein hai wo keh dalo phir beshak raah badal laina

jo tum kehtey na kehti hein q aankhein sath na daity hein?
yeh aanson bhe apne chun loo phir beshak rah badal laina

bin tairey jii na paongi mein matti mein mil jaongi
maire maiyat ko kaandha daina phir beshak rah badal laina*

Re: palkon ki chilman girne do phir beshak raah badal laina

beautyfull :) ap ke collection hamesha zabardasti rahee hai

Re: palkon ki chilman girne do phir beshak raah badal laina

Beutiful poem Koyal :k: Thanx for sharing :slight_smile:

Re: palkon ki chilman girne do phir beshak raah badal laina

beautiful !

Re: palkon ki chilman girne do phir beshak raah badal laina

very nice Koyal....hamesha ki tarha!

Re: palkon ki chilman girne do phir beshak raah badal laina

Zabardast...Hamayasha ki tarah lajavaab ... Thanx 4 sharing :-)

Re: palkon ki chilman girne do phir beshak raah badal laina

Very nice **Koyal **thanks for sharing:-)

Re: palkon ki chilman girne do phir beshak raah badal laina

Hmmm :konfused:

Re: palkon ki chilman girne do phir beshak raah badal laina

really very nice one