Pal Main Doori Ho Jaati Hai

Pal Main Doori Ho Jaati Hai,
Zaat Aadhoori Ho Jaati Hai … !

Aankhon Main Neend Aati Nahin,
Yun Raat Bhi Puri Ho Jaati Hai … !!

Pahle To Hoti Hai Chaahat,
Phir Majboori Ho Jaati Hai … !!!

Tanhai Jab Bol Pade Tou,
Baat Zaroori Ho Jaati Hai

Kuchh Logon Ki Lahma Bhar Main,
Khwaaahish Puri Ho Jaati Hai

Had Se Pyaar Ghuzar Jaye Tou,
Aksar Doori Ho Jaati Hai

Re: Pal Main Doori Ho Jaati Hai

Pahle To Hoti Hai Chaahat,
Phir Majboori Ho Jaati Hai ... !!!

Chahat aur muhabbat ka farq explain kia jae?

Re: Pal Main Doori Ho Jaati Hai

kidar hai mohabbat?

Pahle To Hoti Hai Chaahat,
Phir Majboori Ho Jaati Hai ... !!!

Re: Pal Main Doori Ho Jaati Hai

mohabbat bhi to majboori hai? waise kia chahat aur muhabbat ek hi cheez hai?

Re: Pal Main Doori Ho Jaati Hai

Chahat chahane ko kehte hain khuahish karne ko
jubke muhhabat to lahasil se bhi hojati hai

Re: Pal Main Doori Ho Jaati Hai

wah wah kia baat kar di SP :clap:

Re: Pal Main Doori Ho Jaati Hai

:hat: Shukria janab

Re: Pal Main Doori Ho Jaati Hai

Had Se Pyaar Guzar Jaye Tou,
Aksar Doori Ho Jaati Hai

...
Pyar mein moderate bhi raha ja sakta hai?!?!

Re: Pal Main Doori Ho Jaati Hai

kya pyar mein bhi moderator hota/hoti hai

Re: Pal Main Doori Ho Jaati Hai

Ya phir yeh keh koi Moderator pyar nahin ker sakta :vivo:..aesa tou nahin socha ghalti se bhi :5:

Re: Pal Main Doori Ho Jaati Hai

meri aisi majal k kisi moderator k baray mein aisa sochoon

Re: Pal Main Doori Ho Jaati Hai

Ab aaya na oont pahar kay neechay …Shabash meray munnay :rotfl:

Re: Pal Main Doori Ho Jaati Hai

oont kon hai aur pahar kon hai nani amma

Re: Pal Main Doori Ho Jaati Hai

Tum kya banna pasand karo gay ..nawasay :D

Re: Pal Main Doori Ho Jaati Hai

jo mere nano ki marzi

k

wo oont ki nani banti hai ya pahar ki:is:

Re: Pal Main Doori Ho Jaati Hai

very nice

Re: Pal Main Doori Ho Jaati Hai

Bohat Khoob.......

Re: Pal Main Doori Ho Jaati Hai

gud one