maiN paL dau paL kaa shaair hooN
PaL dau paL meri kahaaNi hai
PaL dau paL meri hasti hai
PaL dau pal meri jawaani hai
mujh say pehlaY kitnaY shaair
aaye aur aa kar challaY gaye
kuch aahaiN bhar kar louT gaye
kuch naghmaY gaa kar challaY gaye
woh bhee ik paL kaa qissa thaY
maiN bhee ik paL kaa qissa hooN
kal tum saY judaa ho jaaouN gaa
go aaj tumhaaraa hissaa hooN
kal aur aayeN geY naghmoN kee
khilti kaliyaaN chunnaY waalaY
mujh saY behtar kehnaY waalaY
tum saY behtar sunnaY waalaY
kal koi mujh ko yaad karaY
kiouN koi mujh ko yaad karaY
masroof zamaanaa meraY liye
kiouN waqt apnaa barbaad karaY
maiN paL dau paL kaa shaair hooN