Pal bhar mein tamam umer ki sochein badal jati hain
jin rahon per chaltey hain wohi, rahein badal jati hain
Karney ko kia nahi kartey log muhabbat mein
sirf hamarey liye hi kyun? sab rasmein badal jati hain
Woh aisa hai k us ka naam sunney k tasawwur say hi
hamari tamaam tar sa’atein badal jati hain
Sochta hoon jane kaise? kah paoon ga main us say
milta hoon to dil ki sari batein badal jati hain
Chahe “Manzil” “Dushwar” ho aur “Duur” bhi
humsafer us jaisa ho to musaftein badal jati hain
Yun to “Raat” ka alam haseen hota hai, madhosh bhi
magar"chand" dekhoon to meri ratein badal jati hain
Mat chaho, k mujhe aadat nahi itna chahne walon ki
yeh na ho log kahein, jald hi adatein badal jati hain
solomon
2
Re: Pal bhar main.........
Woh aisa hai k us ka naam sunney k tasawwur say hi
hamari tamaam tar sa'atein badal jati hain
wahhhh,sahyi kahaa
Re: Pal bhar main.........
Very nice sad affect, thanku for sharing:-)
takmeel
4
Re: Pal bhar main.........
zabardast
Re: Pal bhar main.........
Thanx Solomon,Gul & Takmeel
Re: Pal bhar main.........
beautiful....
thnks for sharing.. :)
Aaana
7
Re: Pal bhar main.........
wah wah
Re: Pal bhar main…
**Thanks **pyaricgudya, Aaana
Aqls
9
Re: Pal bhar main.........
bohat khoob intikhaab hai aapka
maza aaya parh ker
shukriyah
Re: Pal bhar main.........
Very nice
Re: Pal bhar main.........
Aqal-less aap ka b pasnad karne ka shukriya
Thanx kaleemhk