Pakistan Resolution: Happy Pakistan Day Gupshup

it was the decisive day of March 23, 1940, when Pakistan Resolution was passed in general session of Muslim League at Iqbal Park (Manto Park originally), Lahore. It was this day that provided a direction to thousands of Muslims of sub-continent to move into. And it was this resolution that translated into creation of Pakistan on August 14, 1947

http://www.pakwatan.com/views_img/23_march_pakistan_day.jpg


Khuda Karay Ke Meri Arz-e-Pak Per Utray
Wo Fasl-e-Gul Jisay Andesha-e-Zawaal Na Ho

Yahan Jo Phool Khilay, Khila Rahay Sadi’on
Yahan Khizaan Ko Guzarnay Ki Bhi Majaal Na Ho

Yahan Jo Sabza Ugay, Hamesha Sabz Rahay
Aur Aisa Sabz Ke Jis Ki Koi Misaal Na Ho

Khuda Karay Ke Na Kham Ho Sir-e-Waqar-e-Watan
Aur Is Ke Husn Ko Tashweesh-e-Mah-o-Saal Na Ho

Her Aik Fard Ho, Tahzeeb-o-Fun Ka Oaj-e-Kamaal
Koi Malool Na Ho, Koi Khasta Haal Na Ho

Khuda Karay Ke Meray Aik Bhi Hum’Watan Ke Leay
Hayaat Jurm Na Ho, Zindagi Wabaal Na Ho

Khuda Karay Ke Meri Arz-e-Pak Per Utray
Wo Fasl-e-Gul Jisay Andesha-e-Zawaal Na Ho

*~*ameen ~

:jhanda:Long live pakistan :jhanda:

Ameen, ** Yom-E-Pakistan Mubarak..**:)

http://www.paklinks.com/gsmedia/files/36755/DilsePakistan.jpg

re: Pakistan Resolution: Happy Pakistan Day Gupshup

Beautiful Presentation Shab I hope it will be a motivation for our fellow members !

Happy Youm-e-PAKISTAN

To all of you !
:bb:
:jhanda:

Ditto! :jhanda:

Mera Eiman Pakistan

**Artist: Nusrat Fateh Ali Khan **
**Lyrics Contributed By: Ehtasham Azhar **

Jab ham ne khuda ka naam liya
us ne hamein innam diya
mera inaam paistan

mohabat amn hai or is ka hai paighaam
Pakistan Pakistan
Mera piaghaam pakistan

**khuda ki khaas rehmat hai **
bazourgon ki basarat hai
Sabhi naslon ki qurbani
kahee naslon ki quwat hai

assasa hai jihadon ka
Sheedon ki amanat ha
tawoon hi tawoon hai
mohabat hi mohabat hai
Jabih tareekh nain rakha hai is ka naam pakistan
Pakistan Pakistan

Mera inaam pakistan
pakistan pakistan
Mera Paighaam pakistan
Pakistan Paistan
Mohabat amn hai or is naam pakistan
pakistan pakistan
Mera Paihaam pakistan

andheron ko metaey ga
ujalla ban kai chai gaa
Yeh qila inqalabi hai
nai duniya basaey ga

Agar allah nain chah to zamana woh bhi ayega
jahan tak waqt jai gaa isay agay bar hai ga
yeh quaid ka inaam or iqbal ka paighaam pakistan
Pakistan Pakistan

Mera Inaam Pakistan
Pakistan Paistan
Mera Paighaam pakistan
Pakistan Pakistan
Mohabbat amn hai aur is a paighaam pakistan
Pakistan Pakistan
Mera Paighaam pakistan
Pakistan Pakistan

Re: Pakistan Resolution: Happy Pakistan Day Gupshup

Aww MashaAllah very beautiful thread. Really uplifts the spirits. :slight_smile:

Here’s one of Iqbal’s poems:
In the avenues of your garden, I burn like the lamp of a tulip
By your life, O youth of ‘Ajam, and by mine!

Time and again, my thought dove into the depths of life,
Until I seized hold of the hidden thoughts of yours.

I saw the sun and the moon, my vision soared higher than the Pleiades:
In your infidel land, I laid the foundations of the Sanctuary.

That its point may become sharper still, I twisted it down—
A listless flame it was in your wilderness.

My colorful thought presents to the empty-handed of the East
A piece of a ruby that I have from your Badakhshan.

There is about to arrive a man who will break the chains of the slaves
I have looked through the window in the wall of your prison.

Make a circle round me, O creatures of water and clay:
In my breast, I have a fire that I carry from your ancestors?

Ae Watan pyaray watan
Ae Watan pyaray watan, pak watan, pak watan
Ae meray pyaray watan
Ae watan paak watan, pak watan, pak watan
Ae meray pyaray watan, ae watan pyaray watan
Tujh say hay meri tamanoo ki duniya pur noor
Tujh say hay meri tamanoo ki duniya pur noor
Azm mera kabhi meray iraday hay ghayoor
Meri hasti may anaa hay meri masti may shaoor
Jaan fiza mera takhayal hay to shirin hay sukhan

Ae Watan pyaray watan
Ae Watan pyaray watan, pak watan, pak watan
Ae meray pyaray watan
Ae watan pyaray watan..

Tu dil afroz baharon ka tar-o-taaza chaman
Tu dil afroz baharon ka tar-o-taaza chaman
Tu mehaktay huay phoolo ka suhana gulshan
Tu nawaraiz aanadil ka bahaarii maskan
Rang o ahang say ma’amoor teray koh-o-daman

Ae Watan pyaray watan
Ae Watan pyaray watan, pak watan, pak watan
Ae meray pyaray watan
Ae watan pyaray watan..

Mera dil teri muhabbat ka hay jaan baksh diyaar
Mera dil teri muhabbat ka hay jaan baksh diyaar
Mera seena teri hurmat ka hay sangeen fasaar
Meray maahboob watan tujh pay agar jaan ho nisaar
May yeh samjho gaa tikhanay laga sarmaya–e-dhan

Ae Watan pyaray watan
Ae Watan pyaray watan, pak watan, pak watan
Ae meray pyaray watan
Ae watan pyaray watan..

Re: Pakistan Resolution: Happy Pakistan Day Gupshup

SAB QAUM KO BOHOT BOHOT YAUM-E-PAKISTAN MUBARIK HO..
HAM ISS MULK KI HIFAZAT KE LIYE HAR QURBANI DEIN GE INSHALLAH..
PAKISTAN ZINDA BAAD..

:)...very nice...
~~i wish all friends Happy Resolution Day~~*

Re: Pakistan Resolution: Happy Pakistan Day Gupshup

Baki log Pakistani Nahi hain kya ?

shaied nahi :chai: