pakistan mey light janey kay nuqsaanaat,,,

aaj kal har doosray teesray ghaintay baad light jaati hai. kaam ka harj hota hai or sehat ka bhi. garmyun may light jaye tou paseenay say bura haal hota hai , paeseena ata hai to boo ati hai , aur phir kharish hoti hai , kabhi kabhaar same time par panee bhi chala jata hai.

sardyun may light jaanay say heater kaam nahee karta, thund lag jaati hai. namonia ho jata hai. government aur wapda walun ko is baat ka ehsaas hi nahee hai. mai aap sab pakistani behan aur bahyon say iltija karta hun kay apni goverment ko khut likhein aur bijli ka kuch karein.

Re: pakistan mey light janey kay nuqsaanaat,,,

aur barishun may waisey hi andehra ho jata hai. keeray makouray nikal atay hain aur phir kaat tay hain. zakhum hotay hain aur dard hoti hai.

Re: pakistan mey light janey kay nuqsaanaat,,,

Bijli na honay key wajah say govenment walay khut nahi parh saktay , email baijaeen un ko.

Re: pakistan mey light janey kay nuqsaanaat,,,

email bhi bohut bheji hain,, pehlay tou jawaab hhi nahii ata thaa magar aik martabah aya tou kaha apnay ilaqay kay counselor say baat karo.

han fuel kai paisai tu government kai pass hain naheen, khut he jala kar kuch bijli bana lai ge. :chai:

Re: pakistan mey light janey kay nuqsaanaat,

heater pakistan main bijli say chalta hai?

i thought they use sui gas for it :bummer:

lol @ this logic

well kharish paseenay ki wagha say nahi bulkay macher ki wajha say hoti hai :stuck_out_tongue:

Re: pakistan mey light janey kay nuqsaanaat,

Light janay ka aik nuqsan yeh bhee hay k raat jaldee ho jatee hay , jiss key wajah say bachay bhee ziada paida hotay hain. Pakistan key ghurbat key aik wajah yeh bhee hay. :hmmm:

Re: pakistan mey light janey kay nuqsaanaat,,,

this thread had nothing to do with h&f forum.. hence being moved here in All Views.

Is ka to multlub hai keh “huri chaabi” bhi bijli sey chalti hai..

Re: pakistan mey light janey kay nuqsaanaat,

abaadi barh rahi hay :chai:

Re: pakistan mey light janey kay nuqsaanaat,

**light janey k baad cricket match bhi nahin dekh saktey :crying:
**

is per to shukar hi kerna chahiye :chai:

**
:smilestar:
mein australia vs southafrica k matches kee batein ker raha hoon
**

To cells waley radio per commentary sun lo :stuck_out_tongue:

Re: pakistan mey light janey kay nuqsaanaat,

what about ’ light janaY k faa’wa’id ’ :pcg:

wo Gandi GaaLi mein Rukhsana ka Ghar walooN se chup chup kar anah or Humara GhannTooN bait kar baaTain karna :hinna:

Re: pakistan mey light janey kay nuqsaanaat,

pata nahi yaaro.. mujhay to hamesha light jaanay say faida hee hua.. :faizy:

Re: pakistan mey light janey kay nuqsaanaat,

:smiley: hehe reminds me when i went for a visit and i was sick:phati: to jab light jati thi to mai so jati thi aur ati thi to uth jati thi:phati:

yup as they say.. “beauty is only a light switch away”