Paida Rah-e-Khaloos mein Dushwariyaan na kar

***Paida Rah-e-Khaloos mein Dushwariyaan na kar
Chahat nahi to ham say Ada-kaariyaan na kar

Lafzoon se khailne ki zarurat nai hay tujhay
Saada Diloon kay sath ye Fankariyaan na kar

Jin say nahi Lagaoo unhain munh b na laga
Be Wajah har Dukaaan se kharidariyaan na kar

Tu shaaakh-e-Gul hay koi amr-bail to nahi
Wabasta har shajar se wafadariyaan na kar

taaza hay dil pay daagh agar pehli maaat ka
phir doosri shikasat ki tayariyaaan na kar***

Re: Paida Rah-e-Khaloos mein Dushwariyaan na kar

Kya kehne bohat he umda ghazal Imran bhai :k:

Re: Paida Rah-e-Khaloos mein Dushwariyaan na kar

zabardast : )

Re: Paida Rah-e-Khaloos mein Dushwariyaan na kar

cool............

Re: Paida Rah-e-Khaloos mein Dushwariyaan na kar

kya baat hai..zabardast

Re: Paida Rah-e-Khaloos mein Dushwariyaan na kar

shaair bohat gussay main maaloom hota hai : D

Re: Paida Rah-e-Khaloos mein Dushwariyaan na kar

poet k sath kisi ne flirt kiya hai i think :D

Re: Paida Rah-e-Khaloos mein Dushwariyaan na kar

nice