Paida raah-e-khaloos mein dushwaarian na kar
**Chaahat nahi to hum se adakarian na kar
**
Lafzon se khailne ki zaroorat nahi tujhe
**Saada dilon k saath ye fankariyaan na kar
**
Jin se nahi lagao, unhein munh bhi na laga
**Bewaja har dukaan se kharidariyaan na kar
**
Tu shakhe gul he koi amar bail to nahi
**Wabasta har shajar se wafadariyan na kar
**
Taaza he dil pe daagh agar pehli maat ka
Phir doosri shikasat ki taiyarian na kar !!!
Re: Paida raah-e-khaloos mein dushwaarian na kar
good one :cobra:
Re: Paida raah-e-khaloos mein dushwaarian na kar
Jin se nahi lagao, unhein munh bhi na laga
**Bewaja har dukaan se kharidariyaan na kar
the poet must be a shop keeper annoyed by window shopping ![]()
Nice sharing :k:
**
Re: Paida raah-e-khaloos mein dushwaarian na kar
Sahi Pehchana Aap ny…
**Kabhi iska, Kabhi uska, Kabhi mera howa…
Us ny Husan kho diya Tijarat krty krty…
**
Re: Paida raah-e-khaloos mein dushwaarian na kar
bohot khoob