Pahelliyan.

Meri aqal-o-hosh ki sab haalatain
tum ne sanchay main janon ke dhaal deen
kar liya tha main ne ehad-e-taraq e ishq
tum ne phir baahin galay main daal deen

Hai Muhabat hayat ki lazzat
warna kuch lazat-e-hayat nahi
kya ijazat hai, ke aik baat kahon
wo… magar khair koi baat nahi

Sharam, wehshat, jhejhak, pareshani
naam se kaam kiu nahi letti
app, wo, jiii, magar, yea sab kya hai
tum mera naam kiu nahi letti

Jo raanai nigahon ke lea saman-e-jalwa hai
libas-e-muflisi main kitni be qeemat nazar atti
yahan to jazibiyat bhi hai dolat hi ki parwarda
yea larki faqa kash hoti to badd soorat nazar atti

Re: Pahelliyan.

:k:

Re: Pahelliyan.

nice.