pagal

pagal

uss nay ikk baar mujh say poocha
bataoo mujhay kitnaa yaad kartay hoo
main nay kaha bohat ziadaa
uss nay dobara sawal kia
phir bhee bataoo to sahee aakhir kitna
main nay kaha bohat bohat bohat ziada
maia jawab sun kar woh
zairay labb dheeray say muskaraee aur kaha
aab mujah say bhee to poochoo
aur jaab main nay pooch to
uss ke muskarahat ghahree hotee chalee gayee
halka sa gulabee rang uss kay chahray par aa kar challa gaya
uss nay mujhay doobtee hoe nazroon say daikha
aur palkain jhukaa kar bolee
pagal yaad to unhain kia jaata hai aadmi jinhain bhool jaaiay

                      "Farhat Abbad Shah"

mairay dill mairay mussafir

i assume this must be a nazam…so transferring to poetry

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

[This message has been edited by ~Sehar~ (edited November 01, 2001).]