((((pagal))))

aik dafa aik psychatrist kuch paagalon ko hawaee jahaz main
dusray city main lay ker ja raha tha: he noticed k sab pagal
kuch na kuch ulti harkatain ker rahay thay or shor bhi bohat ker rahay thay.
but aik pagal aisa bhi tha jo chup ker k batha huwa tha or koi bhi
ulti harkat naheen ker raha tha.
doctor ya daikh ker k wo khamosh ha wo samjha k wo theek ho gaya ha
or us nay us say kaha k baqeeon ko khamosh karwa day or khud wo pilot room
main chala gaya.
kuch dair baad jab wo dobara wapis aya to wahan sirf aik pagal batha huwa tha
jo theek tha.doctor nay us say pucha
" baqi sab pagal kidhar hain."
to us nay kaha k wo bohat shor ker rahay thay
is liay main nay un say kaha k
aap log bahir ja ker khailo.

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggrin.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggrin.gif


Even If You Are Basically Stupid
You Can Still Meet Nice People !

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggrin.gif


Kambakht Ishq!