**Main bola mujh say baat karo, wo bola pagal awara
phir main nay khud ko dair talak khud likha pagal awara
wo thera thera sa pani, wo suljha suljha sa mousam
main uljha uljha sa shayir main thera pagal awara
kiya mousam thy, kiya shamain thin, kiya rahi thay, kiya rahain thi
ek larki kuch dewani si ek larka pagal awara
chahay to yeh darya ruk jayen, chahay to yeh sitaray jhukh jayen
mai dukh ki duniya ka basi, dewana pagal awara
sadiyun say sangzani ka shewa, apni app gawahi hai
khud duniya app junoni thi ya main tha pagal awara…**