Pagal annkhon wali

Pagal aankhoon waali larki
Itnay mahengay khuwaab na daikho
Thak jaao gi
Kaanch say nazuk khuwaab tumharay
Toot gaye to pachtaao gi
Tum kia jaano!!!
Khuwaab …Safer ki Dhop key teeshay
Khwaab…Adhoori raat ka Doozakh
Khuwaab…Khayaloon ka pachtawa
Khuwaboon ka hasil Tanhaai
Mahengay khuwab kharidna hon to
Aankhain baichna parti hein
Rishtay bhoolna partay hein
Andaishoon ki Rait na phaanko
Khuwaboon ki oot Saraab na daikho
Piyaaaaaaas na daikho
Itnay mahengay khuwaab na daikho
Thak jaao gii…!!!



BeInG lOnElY

Re: Pagal annkhon wali

very nice.......!

Khuwaab ......Safer ki Dhop key teeshay
Khwaab..........Adhoori raat ka Doozakh
Khuwaab.........Khayaloon ka pachtawa

par khuwaab ek khoobsurat pal bhi hain........!

Re: Pagal annkhon wali

bohat achi nazm hai thanks alot for sharing it with us

Re: Pagal annkhon wali

Wah wah wah wah wah wah wah,,,,
Buhat achey Sid

Re: Pagal annkhon wali

Wow, very nice! Thanks.