*^
{{{{{{}}}}}}
+++++++++++++++++
Zammee’n Pay Chal Na Saka Aasmaa’n Say Bhi Gaya
Katta Kay Par Ko Parinda Urraan Say Bhi Gaya
Tabah Kar Ga’ee Pakkay Makaa’n Ki Khwahish
Main Apnay Ga’oo’n Kay Kachchay Makaa’n Say Bhi Gaya
Para’ee Aag Main Kood Kar kiya Mila Tujh Ko
Ussay Bacha Na Saka Khud Apni Jaa’n Say Bhi Gaya
Bhulana Chaha Tou Bhulaanay Ki Intihaa Kardi
Woh Shakhs Ab Mayray Wehm-o-Gumaa’n Say Bhi Gaya
**Kissi Kay Haath Ka Nikla Howaa Woh Teer Hoon Main
Hadaf Ko Choo Na Saka Aur Kamaa’n Say Bhi Gaya **
*
_______________________________
++++++++++++++++++++++++++++++++
----------------------------------