Paani Aankh Me Bhar Kar Laya Jaasakta Hai

**Paani Aankh Me Bhar Kar Laya Jaasakta Hai
Ab Bhi Jalta Shaher Bachaya Jaa Sakta Hai

Ek Mohabbat Aur Woh Bhi Naa Kaam Mohabbat
Laikin Iss Se Kaam Chalaya Jaa Sakta Hai

Dil Par Paani Peene Aati Hain Umeedein
Iss Chashme Me Zaher Milaya Jaa Sakta Hai

Mujh Gumnam Se Puchte Hain Farhad Wo Majnu
Ishq Me Kitna Naam Kamaya Jaasakta Hai

Phataa Poorana Khawab Hai Phir Bhi
Issme Apna Aap Chupaya Ja sakta Hai,**

Re: Paani Aankh Me Bhar Kar Laya Jaasakta Hai

**
Ek Mohabbat Aur Woh Bhi Naa Kaam Mohabbat
Laikin Iss Se Kaam Chalaya Jaa Sakta Hai

jo mil gaya usse yaad rakh
jo chala gaya usse bhool ja
**

Re: Paani Aankh Me Bhar Kar Laya Jaasakta Hai

Paani Aankh Me Bhar Kar Laya Jaasakta Hai

Ab Bhi Jalta Shaher Bachaya Jaa Sakta Hai

Karachi still has hopes

Re: Paani Aankh Me Bhar Kar Laya Jaasakta Hai

Lahore to awen Zinda dilon ka shehr mashoor hai, jo Karachi pe guzarti hai, aur jaise Karachi wale jeete hain.. they are more zinda dil than anyone

Re: Paani Aankh Me Bhar Kar Laya Jaasakta Hai

but itna zyada difference kyon dono shehron mai ?
Kyon karachi is so unsafe but lahore is safe ?