**Paamaal Ho Gay Teray dar Pr Parray Hoe
Jaisay Shajar Se Toot K Pattay Giray Huay
Naqadri e Zmana Humein Maloom Hai Magar
Yaaron Se Phir Fazool K Shikway Gilay Huay
Mehroomiyon K Bojh Se Gardan Jhuki Hui
Nakamiyon Ki Gard Se Chehray Attay Huay
Shayad Tumhein Khabar Ho Btao Wo Qafilay
Thehray Kahan Thy Be Sar o Saaman Chalay Huay
Janay Kidhar Chalay Gaey Saray Wo Humsafar
Hum Rahguzar Mein Reh Gaey Tanha Kharay Huay....**
insaan boht aage ja ke bhi apne aap ko peeche pata hai.. jin se aage nikal aae, wo usse yaad nahin rehte.. jo usse aage nikal jae, wo khatakte hain
Hmmm, nahi aghay nikalne wale khatakne nahi chahiye, her kisi ko apne hisay ka safar Karna hai, apne apne time period Mai jahan pohanchna hai pohche ga.
Mere sath masla yeh hai ke muje aesy feel houta hai jese time fly kar raha hai. I mean muje Lagta hi nahi ke itne saal kab aur kese guzre.

ye sab ke sath hai.. waqt ke guzarne ka ihsas waqt ke guzar jane ke baad hota hai
Ik lamhe main kata hai zindagi ka safar
zindagi tez boht tez katti ho jaise