paagal aankhoon wali laRki

paagal aankhoon wali laRki
itnay mehngay khaab na dekho
thak jaogi
kanch say nazuk khaab tumharay
TooT gaye to pachtaaogi
tum kya jano!!!
khaab… safar ki dhoop kay tayshay
khaab… adhoori rat ka dozakh
khaab… khayaloon ka pachhtawa
khaaboon ka hasil tanhai
mehngay khaab khareedna hoon to
aankhain bechna paRti hain
rishtay bhoolna paRtay hain
andeshoon ki rait na phaanko
khaaboon ki aoT, sarab na dekho
pyaas na dekho
itnay mehngay khaab na dekho

mohsin naqwi

good.

aap ko sirf aik ki ankhain aisay nazar ati hain .. humain to ;) khair

bahut khoob!

Zabardast :k:

Buhat Achay:k:..
:flower1:..

bohat khooooooob :)

Nice...

Re: paagal aankhoon wali laRki

Very nice thanks for sharing :k: