...Ordering Food...

Re: ...Ordering Food...

[quote]
Keep the food example in mind. One is not ordering any chicken or beef sandwich. It's just a vegi sandwich. Isn't it making it too difficult when we ask them to change their gloves and wash the knives?
[/quote]

app Salal Allaho alyhi waslam nay fermaya Shubhaat(doubts) say bhi bacho kion k jo shubhaat main per gya woh makroohat main per gya jo makroohat main per gya woh haram main per gaya

yehe bat agar koi doctor suggest ker day kay khanay ko hath lagnay say pehlay gloves change kerain ya knives wash ker lain to us waqt yeh bat humain itne mushkil nahi lagte or is ko hum fakhrya higenic kehtay hain
lakin agar yeh hukam islam ke haysyat say koi apna lay to mushkil lagnay lagta hay

lakin halal or haram ka masla itna nazuk hay agar koi is main ahtyat ker raha hay to yeh behter hay . or jub ik insan kissi say kam lay ker us ko pay ker raha hay to woh us ki marze hay apna kaam kaisai karaye yeh us ka haq hay

[quote]
Why would you wanna eat a halal (vegi) sandwich that a non-muslim prepared for you?
[/quote]

yeh to ik Tijarat hoyee or kuffaar say tijarat(marketing) jaiz hay

halal khanay ka hukam bhi islam ka ..or tijarat jaaiz kernay ka hukam bhi islam ka ..

jub islam naya naya aya tha us waqt sahaba karam kay pas kayee non muslim ghulam hotay thay woh un her qisam kay kaam karatay thay ...

Ammal ka daromadaar neytoon per zaroor hay or is kay sath yeh bhi hades hay *Ammal ka daromadar un kay khaatmay per bhi hay *

ik Admi namaz ki niyat to ker layta hay lakin namaz main kuch perhay hee nahi ? bus khamoshe say jaye namaz per khara raha to kia us ki neyat us kay ley kafee hay or hum yeh kahain gay k us ki namaz ada ho gaye?