oohh Khudya .. !!

***oohh khudya …!!

ohh khudya
woh kon tha, woh kiya tha
dikhne mai ek gada
dil ka badsha
mai kiya thi..
ek husan ki malka
pir piyar ki bhooki bhikaran
woh sab daan ker reha tha
mubhat, ulfat, qurbat
mai sab smaeet rehi thi
taar taar gholi mai apni
ek bewa raat thi
pir ek nayee subha ki suhag raat
mai socho k tane banoo mai uljhi
her zaviyoo say use daikhti rehi
phir yak-daam cheekh k boli
bas karoo , abb bas karoo
oh khudyaa
abb bas karoo
yeah sab daan apne wapis lay loo
in say hawas ki boo aati hai
woh ja chukha tha
woh us ki bay-basi
or apni jheet per hans rehi thi
us nay barii hoshyari say
mubhat ka Qatal kiya
or dafna diya … !! (samii)***

Re: oohh Khudya .. !!

Different :k:

Is it written by you sami?

Re: oohh Khudya .. !!

Yes, i wrote it back in 2007/2008 i guess, dnt write anymore. :D