*Ummeede'n saanson sang hi jeeti rahi Dil me armaan bhi machalte rahay Meri naz'rain to dhundhli ho chali thi Khawaab aankhon me phir bhi palte rahay *
**ek achchhi kaavish par DheroN mubaarakbaadeN. hamesha waah ke saath aah bhi hotii hai is liye chand ek baateN jo zehn e zaeef men aayiiN vo raqam kar rahaa huN...buraa na maaniyegaa k yeh maHez ek dostaana sujhaao hai.
-aapke qit'a kaa taKhaiyul achchhaa hai...kalaam meN chusti kii kamii maHsoos huii.
-zabaan aasaan aur salees hai magar adaayegii/tarteeb meN jhol nazar aayaa
-jo aapne likhaa use qit'a kahte haiN aur iskii ek haiyat [format] hotii hai soo usse roo-shinaasii kar len to aapkii she'r goyii meN nikhaar paidaa hogaa, iA.
-aapko bahr [meter] aur cazan [weight] agar seekh leN to bahtar hogaa kiuN k yeh shaa'irii kii buniyaad hai jaise raag gaayekii kii buniyaad hai.**