Only two lines for...............

**Ummeede’n saanson sang hi jeeti rahi
Dil me armaan bhi machalte rahay
Meri naz’rain to dhundhli ho chali thi
Khawaab aankhon me phir bhi palte rahay
**

Re: Only two lines for...............

v nice bt only 2 lines....4 whom?

**ek achchhi kaavish par DheroN mubaarakbaadeN. hamesha waah ke saath aah bhi hotii hai is liye chand ek baateN jo zehn e zaeef men aayiiN vo raqam kar rahaa huN...buraa na maaniyegaa k yeh maHez ek dostaana sujhaao hai.

-aapke qit'a kaa taKhaiyul achchhaa hai...kalaam meN chusti kii kamii maHsoos huii.

-zabaan aasaan aur salees hai magar adaayegii/tarteeb meN jhol nazar aayaa

-jo aapne likhaa use qit'a kahte haiN aur iskii ek haiyat [format] hotii hai soo usse roo-shinaasii kar len to aapkii she'r goyii meN nikhaar paidaa hogaa, iA.

-aapko bahr [meter] aur cazan [weight] agar seekh leN to bahtar hogaa kiuN k yeh shaa'irii kii buniyaad hai jaise raag gaayekii kii buniyaad hai.**

**Dar asal kal ye kavish dheere dheere utra, aur ab tak bus 12 lines bani hain.

Raah ki dushwarion se bach kar**
** Log roz manzileyn badal'te rahay**
** Zindagi bahut khaas thi har ghadi**
** Log Bus aaam hokar martay rahay**

Ummeede'n saanson sang hi jeeti rahi
** Dil me armaan bhi machalte rahay**
** Meri naz'rain to dhundhli ho chali thi**
** Khawaab aankhon me phir bhi palte rahay**

** Ajab nasha tha maut ka hona, **
** Is ghadi kuchh paana, uss ghadi khona**
** Phir kyon log nishaaniyan bachate rahay**
** Ho kar mayoos haath maltay rahay**

aapke dostana sujhaav sir aankhon par. aapka comment hi izzat afzai hai.