:kehne ko yooN to zindigee apnee Kharaab kee
lekin hai baat aur hee eHd.e.shabaab kee!
izhaar.e.shauq per yeh nigaaheN itaab kee!
:jo baat kee Khudaa kee qasam,laajavaab kee!:
yaaN jaan per banee hai muHabbat ke pehr meiN
aur aap ko paRee hai Hisaab.o.kitaab kee!
kyaa pooChhte ho umr.e.gureaaN kee Kaa’inaat!
:do karvaTeN theeN aalam.e.Ghaflat meiN Khwaab kee:
ham roz.e.Hashr hoN ge jo masroof.e.deed.e.yaar
fursat kise mile gee savaal.o.javaab kee?
dekhaa qareeb se to vahaaN aur raNg thaa
ta’reef sunte aaye the ham aaN.janaab kee!
uqbaa kee kaun fikr kare, tere ishq ne
duniyaa Kharaab kee, arey duniyaa Kharaab kee!
GhairoN meiN Khwaar hai to voh apnoN meiN naa.muraad
kyaa pooChhte ho Sarwar.e.izzat.ma’aab kee!
Sarwar Raz :Sarwar:
Re: One Of My Friend’s Poetry
bhut khoob:k:
Nice, Thanks for sharing!
tanks all of you for appreciating his Poetry
ShaRaRa
8
wow tht was really nice:k: zabardast:k: