One by me...

** Beena ko tah-e-khaak ju-e-sheer nazar aaye, Aalim ki kainaat ki tasweer nazar aaye, Ghafil karay ghalti, to dorhay hai mullah paas, Woh shukhs jisay bus zahiri tasweer nazar aaye.

Kiya dariya paar karna, kia doob kay mar jaana,
Aashiq ko har su Jaana ki tehreer nazar aaye,
Jo bay adab, bay sabab, bay aqal karay baat,
Woh qaum mujhay soch ki faqeer nazar aaye.

Pata chalay jaahil ki us ki soch ka fuqdaan,
Aaqil mujhay ghurbat main bhi ameer nazar aaye,
Aalim ki kum goi say ho zarkhaiz bhi sehra,
Zehnon pay uska asar bhi aseer nazar aaye.

Maula Azam ko aqal day kai yeh jahan usko,
Aik boond kay aagay kabhi haqeer nazar aaye…

Lajawab**

Very nice

khoob

:)