Pakistan kee kahani halaat kee zabani ![]()
General aur du luteray
Aik ganja tha aik munchoon wala
Mulk ko lotnay may mahir-o-aala
Dono nay mil-kar mulk ko loota
Her tar-keeb say iss ko khasota
Jab ho giya khali mulk hamara
Ganja nay khalifa banna chaha
Fauj say kee uss nay larayee
Qanoon say bhie kee hata paie
Aik general nay jo ayesa dekha
Danday say kee uski pitaie
Phir Ganjay ko tu Jaddah phaika
muchchal ko bhie Dubai bhaija
General nay phir intezam kiya
Kangal mulk may kaam kiya
Hua jab mulk ka kuch dubala
Taqdeer nay phir aik palta khayea
Ganjay nay kuch baal ugayea
Muchchal nay bivi ko gawayea
Phir duno mil ker wapis aye
Mulk lootnay ka plan bhie laye
Ganja bola Lahore hamara
Muchchal Islamabad per chayea
Ab dekho kiya hota hay Salim
Lootnay say kia bachata hay Rahim