How are you all ? Hope fine ! Faiz Ahmed Faiz ko hum se bichray 25 baras beet gaye par woh aaj bhi hamaray dilon mein hamari sochon mein zinda hain laikin unki kami aaj bhi mehsoos ki jaati hai Iqbal ke baad is sadi ka dosra bara shayar honay ka aizaz Faiz Ahmed Faiz ke pass hai ! ALLAH Faiz sahab ke darjay buland farmaye Amin !
Veera Ke Naam
Us ne kaha aao,
Us ne kaha thehro
Muskuraao kaha us ne
Mar jaao kaha us ne
MaiN aaya,
MaiN Thehar gaya,
Muskuraaaya
Aur mar bhii gayaa
**Thats what we really need !**
Hum Dekhain Gay
Lazim Hai ke hum Bhi Dekhain Gay
Woh Din ke Jis ka Wadah Hai
Jo Loh-e-Azl pe Likha hai
Hum Dekhain Gay
Jab Zulm-o-Sitam ke Koh-e-garaan
Ruii ki Tarah Urd Jain Gay
Hum Mehkumoon ke Paun Talay
Yeh Dharti Dhard Dhard Dhardkay gi
Aur Ehl-e-Hukum ke Sar Uper
Jab Bijli kard Kard Kardke gi
Hum Dekhain Gay
Jab Arz-e-Khuda ke kabay se
Sab but Uthwaaiy Jain gay
Hum Ehl-e-Safa Mardood-e-Haram
Masnad pe Bithaaiy jain gay
Sab Taaj Uchalay jain gay
Sab Takht Giraaiy Jain gay
Bas Naam rahay Ga Allah ka
Jo Ghayab Bhi hai Hazir Bhi
Jo nazir bhi hai manzar bhi
Uthay ga Analhaq ka Naara
Jo Main bhi Hun aur Tumbhi ho
Aur Raaj karay gi khalq-e-Khuda
Jo main bhi hun aur tum bhi ho
Hum Dekhain Gay
Lazim Hai ke hum Bhi Dekhain Gay
Hum Dekhain Gay
**Faiz Ahmed Faiz**
dasht-e-tanhai main ai jan-e-jahan larzn hain
teri avaz k saye tere honthon k sarab
dasht-e-tanhai main duri k khas-o-khak tale
khil rahe hain tere pahlu k saman aur gulab
uth rahi hai kahin qurbat se teri sans ki anch
apni khushbu main sulagti hui madham madham
dur ufaq par chamakati hui qatra qatra
gir rahi hai teri dildar nazar ki shabnam
us qadar pyar se ai jan-e jahan rakha hai
dil k rukhsar pe is vaqt teri yad ne hath
yun guman hota hai garche hai abhi subah-e-firaq
dhal gaya hijr ka din a bhi gai vasl ki rat