kab yaaron ko tasleem nahi kab koi aduu inkaari hai
is qu-e-talab mein hum ne dil ko nazar kia, jaa’n waari hai
jab saaz-e-silasal bajtay thay, hum apnay lahuu se sajtay thay
wo rasm abhi tak baaki hai, wo rasm abhi tak jaari hai
jab parcham-e-jaa’n lay kar niklay, hum khaak-nashee’n maktal maktal
us waqt se lay kar aaj talak jallad pay haebat taari hai
zakhmon se badan gulzaar sahi, par un k shikasta teer gino
khud tarkash walay keh dein gay, ye baazi kis ne haari hai
hum sehl-angaar sahi lekin kyon ehl-e-hawas ye bhool gaey
ye khaak-e-watan hai jaa’n apni, or jaan to sabko piyaari hai