Re: Oh baba faqeer Aa main tenu chanda derha ay
Yes, I fwd his PMs to Gizzy bhai on his request. But yeh Baba abhi bhi baaz naheen aya.
James chachu, no. Laikin uskay PMs aur posts meray liye naqabal-e-bardasht hain.
Apnay Dada jani ki aik nazam ka kuch hissa paish hai. Shayed kuch is tarha mer pegham sab tak pohunch jaye.
** Dar masafi paish aan gardoon sareer**
** (Zamanay nay aisa palta khaya)**
** Dukhtar-e-Sardaar Ti* aamad aseer**
** (Ti kay sardaar ki beti ghulaam bana li gayi)**
** Pa-e dar zanjeer wa hum bi parda bood**
** (Paoon main zanjeer thhi ayr woh bay parda thhi)**
** Gardan az sharam-o-Haya kham karda bood**
** (Us nay apni gardan Sharm-o-Haya say jhukayi howi thhi)**
** Dukhtarak ra choon Nabi :saw: bi parda deed**
** (Sardaar ki beti ko jub Rasool ullah :saw: nay bai parda dekha)**
** Chadar-e-Khud paish rawi oo kasheed**
** (Apni chadar uskay chehray (wajood) par phela di)**
** Ma az aan Khatoon-e-Ti Uriyaan tareem**
** (Agar Ti ki yeh khatoon bay parda rahi)**
** Paish-e-Aqwaam-e-Jahan bi chadaraim**
** (Aanay wali tamam Qaumain bay parda aur bay libaas rahain gi)**
** (Qabeela Bani Tay ka sardaar Hatim, jo apni fayazi ki wajah say mashhoor thha)*
Mera bhi kuch aisay hi lehaz kar lain. Please.