Re: Offering Asr prayer as Qaza
hmmm…interesting!..to kia aap bataa saktii haiN k mausoof ne apnii kitaab ‘Bihishtii zevar’ meN kia likhaa hai? aksar samajhne kaa bhii ulaT pher ho jaataa hai…'ibaarat kaa siyaaq o sibaaq kaa bhii Khayaal rakhnaa paRtaa hai…mere nazdeek to maGhrib kii namaaz 'asr kii qaza namaaz se awwaliyat rakhtii hai…it makes sense too kiuN k maGhrib kaa waqt kam hotaa hai aur usko delay karnaa munaasib nahiiN…maGhrib kii namaaz sooraj ke Ghuroob hote hii due ho jaatii hai. Khair…muKhtalif fiqh meN iKhtilaaf ho saktaa hai jiskaa mujeh ilm nahiiN. thankoo