This breaks my heart when i read it. Especially these lines: ghairo ki shikaayat nahin / apni hi khata hai / …] ae khaasa-e khaasaan Rasool waqt-e dua hai / ummat pay teri aa kay ajab waqt para hai. He wrote it more than a hundred years ago, but in 2003, it is still more than ever relevant and applicable. Every corner of the world, the Muslim ummah has ceased to exist in all but name. Racism, sectarianism, nationalism, all the -isms of the world have defeated us. We have no one to blame but ourselves.
Hali was also a very vocal proponent of women’s rights accorded to them by Islam. If he were alive today, what would he say about the socio-economic conditions around the Muslim world today ?
Ya Rehmatul lil a’lameen
chhaayi hui aalam pay qayaamat ki ghaTa hai
badli hui duniya mein zamaanay ki hawa hai
gardish mein musalmaan hai, falak kaanp raha hai
ghairo ki shikaayat nahin apni hi khata hai
woh teray mahaajir teray ansaar kahaan hein
jo Badr o Ohad mein thay, woh sardaar kahaan hein
Makkay mein jo thay saath, woh do chaar kahaan hein
kuchh dair ko phir waqt unhein maang raha hai
Ae khaasa-e khaasaan Rasool waqt-e dua hai
ummat pay teri aa kay ajab waqt para hai
Ya Mustafa Salle Ala, Ya Murtaza Salle Ala
Islam pay phir dushmanein bhi toot parray hein
ghaarat gar-e eemaan tabaahi pay array hai
jhanday teray har simt khudaayi mein garray hien
jab chaaha hai toofaan ka rukh morr diya hai
Ae khaasa-e khaasaan Rasool waqt-e dua hai
Ummat pay teri aa kay ajab waqt para hai
aghyaar ki hein Khaana-e Ka’aba pay nigaahein
masdood hui jaati hein eemaan ki raahein
Islam kay seenay say nikalnay lagi aahein
Faaraan ki choti pay bara shor macha hai
Ae khaasa-e khaasaan Rasool waqt-e dua hai
Ummat pay teri aa kay ajab waqt para hai
Jo deen bari shaan say nikla tha watan say
pardes mein aaj woh ghareebul ghurba hai
Ya Mustafa Salle Ala, Mohtaram, Munawarram
Ya Rasool Allah ho aik nigaah-e karam
koi apna nahin, gham kay maaray hein hum
aap kay darr pay faryaad laaye hein hum
ho nigaah-e karam, warna chaukhat pay hum
aap ka naam lay lay kay mar jaayengay hum
kehna saba Huzoor say, kehta hai ghulaam
bas aik nazar ho, aik nazar ka sawaal hai
Ya Mustafa, Ya Murtaza, Salle Ala Rasool Allah
daawa hai teri chaah ka, is ummat-e gumraah ka
koi nahin tera siwa, Ya Rahmatul lil A’lameen
Ae Allah karam kar Mustafa kay waastay
Ya Rasool Allah karam kijiay Khuda kay waastay
~ Maulana Altaf Hussain Hali