aagh bani saawan ki barkha
phool baney angaarey
naghun ban ghyi raat sunahi
pather bun ghay taaray
sub toot chukay hain saharey
jeevan apna wapis le ley
jeevan deney waley
chaand ko dhondey pagal suraj
shaam ko dhondey sawera
main bhi dhondon uss preetum ko
ho na saka jo mera
bhagwaan bhala ho tera
kismat phooti, aass na tooti
paaon main par ghay chaahley
o duniya ke rakhwaley
mehal udaas aur galiyaan sooni
chup chup hain deewarain
dil kya ujra, duniya ujri
rooth ghyi hain bahaarain
hum jeevan kesey guzaarain
mandir girta phir bun jata
dil ko kon sambhaley
o duniya ke rakhwaley
![]()