O door say aanay waalay bata..!
Barsaat k mausam ab bhi wahaa’n..
Waisay hi suhaanay hotay hai’n.?
Kya ab bhi wahaa’n k baagho’n may..
Jhoolay aur gaanay hotay hai’n.?
Aur door kahee’n kuch daikhtay hi..
No-umr deewaanay hotay hai’n.?
O door say aanay waalay bata..!
Kya ab bhi pahaarri chotiyo’n per..
Barsaat k baadal chhatay hai’n.?
Kya ab bhi hawaa-e-saahil k..
Woh mudh-bharay jho’nkay aatay hai’n.?
Aur sab say oo’nchi taikri per..
Laug ab bhi taraanay gaatay hai’n.?
O door say aanay waalay bata..!
Kya ab bhi wahaan mailo’n may wohi..
Barsaat ka jauban hota hay.?
Phailay hoey barr ki shaakho’n may..
Jhoolo’n ka nashaiman hota hay.?
Umday hoey baadal hotay hai’n..
chhayaa hua saawan hota hay.?
O door say aanay waalay bata..!
Kya ab bhi wahaa’n barsaat k din..
Baagho’n may bahaarai’n aati hai’n.?
Maasoom-o-haseen dosheezaey’n..
Barkha k taraanay gaati hai’n.?
Aur teetriyo’n ki tarah rangeen..
Jhoolo’n per lehraati hai’n.?
O door say aanay waalay bata..!
Kya aam k oo’nchay pairro’n per..
Ab bhi woh papeehay baultay hai’n.?
Shaakho’n k harairi pardo’n may..
Naghmo’n k khazaanay raultay hai’n.?
Saawan k raseelay geeto’n say..
Taalaab may amras ghaultay hai’n.?
O door say aanay waalay bata..!!