[[ O Aali pe hansne walay tu Aali ban jaaye ]]

**Aali jee ab aap chalo to apne bojh uthaaye
saath bhi de to aakhir hamara koi kahaan tak jaaye

jis suraj ki aas lagi hai shayad woh bhi aaye
tum ye kaho khud tum ne ab tak kitne diye jalaye

apnaa kaam hai sirf mohabbat baaqi us ka kaam
jab chaahe woh roothe ham se jab chahe maan jaaye

kya kya rog lage hain dil ko kya kya un ke bhad
hum sab ko samjhaane walay kaun hamein samjhaaye

ek isi umeed pe hain sab dushman dost qabool
kya janay is saada-e-ravi mein kaun kahan mil jaaye

duniya walay sab sache par jeena hai us ko bhi
ek gharib akela paapi kis kis se sharmaye

itna bhi majboor na karnaa warna hum keh deinge
O “Aali” pe hansne walay tu “Aali” ban jaaye**

(((( Jameel-u-din Aali ))))

Re: O Aali pe hansne walay tu Aali ban jaaye ]]

I was thinking of posting this like few weeks ago but had to refrain myself to type it at that time for some reason....

A very simple and good choice Ali.... thanks for sharing.

Re: O Aali pe hansne walay tu Aali ban jaaye ]]

thanx for appreciating Anwaar bhai!
I like this ghazal, i guess Jameel-u-din Aali is very under-rated. Many of us never even heard of him.

Re: O Aali pe hansne walay tu Aali ban jaaye ]]

nice :k:

Re: O Aali pe hansne walay tu Aali ban jaaye ]]

** ek isi umeed pe hain sab dushman dost qabool
kya janay is saada-e-ravi mein kaun kahan mil jaaye

nice sharing PA :)
**

Re: O Aali pe hansne walay tu Aali ban jaaye ]]

good1 :k:

Re: O Aali pe hansne walay tu Aali ban jaaye ]]

niceee

Re: O Aali pe hansne walay tu Aali ban jaaye ]]

**apnaa kaam hai sirf mohabbat baaqi us ka kaam
jab chaahe woh roothe ham se jab chahe maan jaaye **

Bohat he aala prince bhai :bb:

Re: O Aali pe hansne walay tu Aali ban jaaye ]]

Very Nice :)

Re: O Aali pe hansne walay tu Aali ban jaaye ]]

Nice Sharing Ali:k: