Nuktachin hai gham-e-dil us ko sunaye na banay
Kya banay baat jahan baat banaaye na banay
Main bulaata to hun us ko magar ae jazba-e-dil
Us pe ban jaaye kuch aisi ke bin aaye na banay
Khel samjha hai kahin chor na de, bhool na jaye
Kaash yun bhi ho ke bin mere sataaye na banay
Ghair phirta hai liye yun tere khat ko ke agar
Koi poochay ke ye kya hai to chupaye na banay
Is nazaakat ka bura ho wo bhalay hain to kya
Haath aayen to unhen haath lagaye na banay
Keh sake kaun ke yeh jalwaa-gari kis ki hai
Parda chhora hai wo usne ke uthaye na banay
Maut ki raah na dekhun ke bin aaye na rahe
Tum ko chahun ke na ao to bulaaye na banay
Bojh wo sar pe gira hai ke uthaaye na uthe
Kam wo an para hai ki banaaye na banay
Ishq par zor nahi, hai ye wo aatish ‘Ghalib’
Ke lagaaye na lage aur bujhaaye na banay