Deviyo tay Sajno!
Pehlay ghalti say doosray poets ki poetry main is section main post karta raha. Now I am going to post my own here, I hope you will enjoy reading.
Thanks & regards,
Ahmi
Kia khoob nibhatay ho wafayain ham say
ab tou sarzad bhi nahi hotin khataayain hamsay
muntazir ham he nahi sub dar o diwar hain yaan
jalwa gar tum he nahi, ghairon ki tou yalghar hai yaan
maana k tum ko gham hain baray rozgar k
lekin zarur kuch haqooq hotay hain yaar k
Willson ho Al-habib ho lakri ki dukan ho
insan dost say na kabhi bad gumaan ho
Husn-e-zan k wastay na takrar kijye
baatain hon apnay yaar ki so baar kijye
miltay nahi “Raza” wo magar yaar hain meray
woh tortay haindil ko magar dildar hain meray
by Ahmed Raza