November

Wo darjan bhar maheeno say,
sada mumtaz lagta hay…

November Kis Liye Aakhir..?
Hamesha Khaas Lagta hay..

Bohat sehmi Hui subhain,
Udasi say Bhari shaamain,

Dopehrain royi royi si,
Wo raatain khoi khoi si,

Garm Dabeez hawaon Ka,
Wo Kam roshan ujaalon Ka,

Kabhi guzray hawalon Ka,
Kabhi mushkil swalon ka,

Bichar janay Ki mayusi,
Milan Ki Aas Lgta hay,

November Kis Liye aakhir?
Hamesha Khaas lagta hay..?

Re: November

mujhe to nahin lagta :nahi:

Re: November

Abi kuch din november ke baaqi hain na...so let see
shaid aap ko lage

Re: November

Kabhi guzray hawalon Ka,
Kabhi mushkil swalon ka,

Bichar janay Ki mayusi,
Milan Ki Aas Lgta hay,

in ka kya ta'aluq hai november se?

Re: November

per mosam to insaaan ke ander hota hai

Re: November

mera to november me kuch bhi khas nahi :blush:

Re: November

bus iqbal day ki chutti khas hai :yahoo:

Re: November

aj kia hy

Re: November

aaj chutti se aik din pehle wala din hai

Re: November

juma ko chutti hoti hy

Re: November

har juma ko nahin