Nou (9) lakha es leay kaha jata hai k es main 9 qesam ke mahengee , behtareen aur umda cheezain dali jati hain,
magar jo Nou Lakha main sekha raha houn wo har koi apnay ghar main bana sakta hai khas kar wo students jo k rat ko group study kartay hain aur jab 3 4 bajay bhok lagti hai to yeh bohet kam aata hai
1 = Raat ka bacha hua salan
2 = Raat ke bachi hui Daal
3 = Raat ke bachi hui Roteyaan
4 = Raat ke bachay hueay Chawal
5 = Namak = Dher saa
6 = Kala namak = Dher saa
7 = Kali Mirch = aik chai ka chamcha
8 = Cheenee = thore see
9 = Ghee = Thora saa
sub say pehlay pateelay main ghee garam karain aur os main namak , kala namak , kali mirch dal kar thora sa kala kar lain en teen chezon ko , phir salan say aalu aur goashet nikal kar chhotay tukray kar lain aur es kholtay hueay ghee main dal dain , aik zore dar shola nikalna zaroori hai
phir daal dal dain
phir bachi hui roteyoon k chhotay chhotay tukray kar k dal dain
phir chawal bhe es he main dal dai nmagar bohet thoray say
phir ghee aur dalain
phir kala namak aur dalain
phir ouper say cheeni cherak dain
aur jab khub khushbu nikalnay lagay aur yeh 9 lakha jalnay k qareeb ho jai yanee k masala jab siah honay lagay aur kalay namak ke khushbu taiz ho jai to otar lain aur , baqi manda roteyan jo bachi houn os k sath khain
Love you Nou Lakha