This poem of Anwar Masood may sound Funny but a few of its ash’aar r not funny at all. I think Anwar Masood ne mazahiya andaaz mein bhot gehri baat kahi hai.
tay ho gia hai mas’ala jab intisaab ka
ab ye b koi kaam hai likhna kitaab ka
khaaya hai ser ho k khiyaali pulaao aaj
paani phir us k baad piya hai saraab ka
dekhi hai aik film puraani to to youn laga
jaisay k koi kaam kia hai sawaab ka
SUGAR na ho kisi b musalmaa’n ko aey khuda
mushkil sa ek sawal hai ye b hisaab ka
ANWAR meri nazar ko ye kis ki nazar lagi
gobhi ka phool mujko lagay hai gulaab ka