NoOneLike Mohsin NaQvi...!!!

Bajuz hawa koi jaanay na silsilay teray
Main ajnabi hun–karun kis say tazkiray teray?–

Yeh kaisa karb ka mausam hai aye nigaar-e-chaman
Hawa mai rang na khushboo mai zaayeqay teray

Main theek say teri chahat tujhey jata na saka
Keh meri raah mai hayel they mas-alay teray

Kahan say laaon tera aks apni aankhon main
Yeh log daikhnay aatay hain aainay teray

Gulon ko zakhm–sitaaron ko apnay ask kahun
Sunaaon khud ko teray baad tabsiray teray

Yeh dard kam toh nahi hai keh tu humein na mila
Yeh aur baat keh hum bhi na ho sakey teray

Judaayon ka tasawur rula gaya tujh ko
Chiraagh shaam say pehlay hi bujh gaye teray

Hazaar neend jalaaon teray baghair magar
Main khuwaab main bhi na daikhun wo rat-jagay teray

Hawaye mausam-e-gul ki hain loriyan–jaisay
Bikhar gaye hon fizaaon mai qehqahay teray

Kisay khabar keh humein ab bhi yaad hai Mohsin
Wo karwatain shab-e-gham–wo hauslay teray

Mohsin Naqvi****

Re: NoOneLike Mohsin NaQvi…!!!

**:slight_smile: As usual…Great:flower2: :k: **

Re: NoOneLike Mohsin NaQvi...!!!

Nice :)

Re: NoOneLike Mohsin NaQvi...!!!

again n again nice sharing dania :)asta lavista